Friday, November 9, 2018

Apna Android app bana kar earning kare


Hello dosto. Mai hu Baid khan. Aik nai post k saath aap ke khidmat me hazir hu. dosto aap aaj kal mobile phone kar daur hai aur har koi mobile phone istemal kar raha hai. Koi Android use kar raha hai, koi Iphone use kar raha hai. Es daur me online earning k method b badal rahe hain. Aur nai nai earning k opportunites paida ho rahe hain. To kehna ye hai k mobile ka use jitna ziada ho raha hai utna he es se earning karna b ziada ho raha hai. Aaj buht se logo ne Android apps banai hain. jo k mukhtalif topics par contents provide karte hain. kisi b information k liay aap ko koi na app milta hai jo aap ke help karte hain.

Aap agar apna app banai aur ose Google playstore par upload kare to os se buht he aasani k saath aap earning kar sakte hain. Aap ka agar koi Website ya blog ya Youtube na b ho tab aap app bana sakte hain aur os se earning kar sakte hain. Aur aap k paas kisi b field me koi knowledge ya skill ho tab b aap bana sakte hain. Jaisa k, poetry, English Tenses, kisi popular book ka app banana, dictionary app banana, Earn online par, General knowledge par etc.

Es post me me aap ko ye b bataunga k aap kaise app banainge aur pher ose Google playstore ko kaise upload karinge aur pher os se earning kaise start karinge.

Apna Android app kaise banain:  Dosto aap apna app kisi b ache platform par bana sakte hain. Buht se website hain jin me aap chand minutes me aur buht he aasani se bana sakte hain. Jaisa k; Thunkable, AppsGeyser etc, jabke web2apk me bana sakte hain agar aap ka koi blog ya website ya Youtube channel ho os k liay. Lekin me aap ko AppsGeyser recommend karta hu. Q k AppsGeyser me aap chand minutes me aur free me app bana sakinge. AppsGeyser aik aisa website hai jaha par aap apne liay aik acha sa playstore app bana sakte hain.

App banane k baad Google playstore ko kaise Upload kart hain.
App banane k baad aap ko Google play developer console website me jana pare ga aur waha se aap ko apna app upload karna hoga. Waha par aap 25 dollars Google ko pay karinge. Es price par aap unlimited apps upload kar sakte hain. Waha par aap se chand cheze manginge. Jaisa k aap ke app ke chand screenshots aur logo etc. aap ko app uload karne se pehle apne app k chand screenshots lene hunge aur os k liay aik attractive logo banana pare ga.

Upload karne k baad es se paise kaise kamainge:
Jab b aap apne apne app ko developer console par upload kare. os k baad Admob ka account banain. Admob ka account banane k liay Google me type kare Admob aur pher Admob ka website open hone k baad os me apna account banain. Account banane k baad Admob aap ko aik Ad code de de ga jis ko aap copy karke apne app me save karna pare ga. Aik ya 2 din k baad aap ko approval mail aa jai ga aur aap ka app approve ho jai ga. os k baad aap ke earning start ho jai gi.

No comments:

Post a Comment