Chand ghalat kaam jin se aap ka blog ban ho sakta hai



Dosto jis trah blogging online earning ka aik acha source hai aur aap es se apne ghar baithe apna he boss ban kar earning kar sakte hain. Esi trah es me buht se log ghalat kaam b karte hain aur unhi ghalat kaamo se paise kamane ke koshish karte hain.
En ghalat kaamo me sab se pehla hai. Self clicking. Self clicking aik aisa online earning method hai jis se kai log earning karte hain. Lekin Google kisi b waqt aap k blog ko band kar sakte hain.
Self clicking ka matlab hai. Aap k blog me jitne b Google k ads lage huay hain.  Aap os par khud he click karke paise kamao. Ya apne kisi dost ya rishta daar ke madad se. aap agar es trah ke earning karinge to ye na sirf najaiz aur haram hai balke es se na to sirf aap k blog par asar pare ga balke jitne b advertisers hain un ka Google se aitemad uth jai ga aur nathije k tor par Google apne policies mazeed sakht aur strict kare ga. Meri blogging k kai saalo ke career me me ne buht se changes dekhi. Aur Google ke kai policies dekhi. Pehle buht aasani hua karti the. Blog banana b aasan tha aur Adsense k ads lagana to kuch mushkil nahi tha. Earning karna aur b aasan tha aur competition to na hone k barabar tha. Lekin ab halaat buht badal chuke hain. Ab en tamam chezo me tabdeli aa gai hai aur sab kuch pehle se ziada sakht ho chuke hain. En halaat me aap ko buht honest aur hard working rehna hoga. Aur agar aisa nahi karo ge to aap kabhi b apni online career nahi bana sako ge.
Dusra ghalat kaam hai aik se ziada Adsense k accounts banana.
Dosto buht se log aik blog aur aik adsense par guzara nahi karte aur wo 2,3 ya es se b ziada alag alag accounts banate hain. Jo k ye adsense policy violation hai. Adsense kehta hai k aap aik se ziada accounts nahi bana sakte. Agar aap k aik se ziada blogs hain to un sab k liay aap aik he adsense account use karinge. Aur os aik he account se aap tamam blogs aur websites me ads lagainge.
Dosto. Kya aap ko pata hai k adsense aisa Q keh raha hai. Farz kare me ne 3 accounts bana liay. Dusre blogger ne b 2 ya 3 bana liay. Esi trah har aik blogger ne aik se ziada accounts bana liay. To jo nay log es field me aainge aur woe s field me apna career banana k khwab dekh rahe hain. Wo apne khwab ko poora nahi kar pa sakinge. Wo buht mehnat karne k baad b mayoos rahinge. Q k Adsense un k blogs ko approve nahi kare ga ya agar approve kare ga b to buht mushkil se.
Esi liay dosto mera to yahi khyal hai k aap aik he blog banai. Aur imaandari se os me mehnat karke os ka SEO karway. Jab traffic aap k site par aay ga to click b kare ga aur impression b bare ga. Aap khud self clicking na kare. Aur na kisi dusre ko es k liay kahe.

0 comments